Hello dosto aaj hum log janege ki On-Page SEO Kya Hai? Aur On-Page SEO : Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare. Kya aap search engines ko yah samajhna chahte hai. Ki wo aap ke kis keyword ke upper rank kare. Agar aap ka jabab haa hai. To hum log ish article me apne blog post ko. Keyword targeted banane ke bare me baat karege. Aap jab bhi koe quality post publish karte hai. Aur aap ko search engine se organic traffic na ke baraber milta hai. To ish ka matlab ho shakta hai ki. Aap ke on-page seo activities me kuch kami hai. On-Page Optimization SEO (Search Engine Optimization) ka hi ek part hai.
Apne blog ya website ko search engine me first rank par lane ke liye. Use Optimize karna bahut hi jaruri hota hai. Yah optimization do tariko se hota hai.
- On-page optimization
- Off-page optimization
Aaj ke ish post me hum log On-page SEO optimization ke bare me baat karege. Aur bahut si useful On-Page SEO techniques ke bare me janege. Jise aap ko apne blog post ko optimize karne ke liye. Jarur implement karna chahiye.
Kisi bhi newbie blogger ko SEO, On-page Optimization, Off-page optimization, Search Engine, Search Rank, First Page Ranking aur bhi other SEO factors ke bare me humesa confusing bana rahta hai. Kyu ki Search Engine Optimization itna bhi easy nahi hai. Asha karta hu ish post me aap ko apne bahut sare sawaalo ka jawab mil jayega. To chaliye suru karte hai aur jante hai ki. On-Page SEO : Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare. But us se pahle jaan lete hai ki On-Page SEO kya hota hai.
On-Page SEO Optimization Kya Hai?
On-Page Optimization SEO ka hi ek part hai. Jise acchi tarah se follow karne par. Aap ki post ke contents search engine friendly ho jate hai. Jis se hum apne blog ke post ko search engine result me first page par la shakte hai. First page par aane ke liye post me kaha kaha aur kaise keyword use kare. Yah janna bahut hi jaruri hota hai. Actually contents ko, According to search engine guideline ke hisab se optimize karna hota hai. Agar aap SEO ko follow karte huwe post likhte hai. To search engine se aane wala traffic bahut jayada badh jata hai.
Simple sabdo me mai agar kahu. To apne blog ke post ko first page par lane ke liye. Blog ya website ki post me jo customization karna hota hai. Use hi search engine optimization kahte hai. Aur jab aap On-Page SEO ko apne post me acche tarah se follow karte hai. To aap ka organic traffic bahut jaldi improve ho jata hai.
On-Page Optimization Kyu Karni Chahiye?
Hum search engine me higer rank pane ke liye. Apne post me SEO optimization karte hai. Yesa nahi hai ki Google kewal On-page SEO score ke aadhar par hi. Kisi bhi post ko search engine me rank karta hai. Wah bahut sari factors ko dhyan me rakh kar hi kisi bhi post ka ranking karta hai. Jaise social media (likes, shares, tweets, follows etc.), backlinks, domain authority aur bahut se dusre off-page metrics.
But On-Page SEO se hume kisi bhi post ko. Natural way me SEO optimize karna hota hai. Taki search engine aasani se humare target keyword ko pick out kar shake. Aur humara post search engine me first rank par aa shake. Ish liye On-Page Optimization karna bahut jaruri hota hai. Agar aap blog ke post me optimization nahi karte hai. To aap ke post ki quality bahut hi bad mani jati hai.
To chaliye ab thora aage badhe aur jante hai ki. On-Page Optimization in SEO ke kuch important factor ke bare me. To phir one by one janne ki kosis karte hai. Taki aap ko pata chal shake ki blogger post ko seo friendly kaise banaye.
On-Page SEO Se Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare – Complete Guide 2017
Jaisa ki mai pahle hi bata chuka hu. Kisi bhi post ko search engine me first page par lane ke liye. On-Page SEO ka bahut bara haath hota hai. To chaliye suru karte hai. Aur janne ki kosis karte hai ki. Apne post ko Search engine me first page par kaise laye.
1. Blog Post Title :
On-Page SEO ka sab se most important part Blog ka Post Title hota hai. Kyu ki post title me add keyword se hi koe post search result me aata hai. Aur jayada se jayada log aap ke blog par click karte hai. Ish liye aap ke blog post ka title jitna accha hoga. Utna hi jayada aap ke post par click hoge. Aur aap ka ranking bhi utna hi accha hoga. App target keyword ko apne blog post ke title me jarur add kare. Kisi bhi post title ko seo friendly banana ke liye. Niche diye gaye points ko jarur follow kare.
Title Length (35 to 65 characters) : App ke post ka title humesa 35 to 65 words me hi jarur hona chahiye. Kyu ki ish se jayada words use karne par wo title seo friendly nahi hoga. Aur search result me bhi show nahi hota hai. Ish liye title likhte time yah jarur dhyan de ki. Aap ka title 35 – 65 characters ke bich me hi rahe.
Title With Main Keyword : Apne post title ko jayada searchable banana ke liye. Post title me post ka main keyword. Matlab focus keyword add karna bahut jaruri hota hai. On Page SEO ke liye yah bahut jaruri bhi hai. For example maan lijiye aap ka main keyword On-Page SEO hai. To ab aap apne post title me kuch ish tarah se add kare. On-Page SEO : Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare.
Use Main Keyword In Starting Of The Post Title : Apne post title ko On-Page SEO ke layak banane ke liye. App ko humesa kosis karna chahiye ki. Aap ka main keyword humesa post title ke suru me add ho. Jis ke karan aap ka post title aur bhi jayada seo friendly ho jayega. For example agar aap ka main keyword Off-Page SEO hai. To aap ka post title ‘Off Page SEO Se Apne Blog Ki Traffic Kaise Badhaye’ hona chahiye.
Add Some Special Words In Post Title : Kabhi kabhi post me high quality content hote huwe bhi. App ne dekha hoga ki post par click bahut kam hote hai. Ish ka sab se bara karan yah hai ki. Aap ne apne post title me kuch special keyword ka use nahi kiya hai. Jis ke karan readers aap ke post ki taraf kam attract hote hai.
Ish liye apne post title ko jayada clickable banana ke liye. Kuch special words ka use jarur kare. Jaise Awesome, Best method, Best Trick, Warning, Secrets Tips, Complete Guide, Advanced Knowledge, Numeric (10, 15,20) etc. Agar aap in sab keyword ka use karte hai. To aap growth rate jarur increase hoga. For example On-Page SEO Kya Hota Hai – Complete Guide 2017.
Don’t Repeat Keywords : Aap ek hi keywords ko bhul kar bhi repeat na kare. For example “On-Page SEO Kya Hai Aur On-Page SEO ki Puri Jankari”. Yah wrong hai kyu ki yaha aap ne ek hi keyword ko do baar use kiya hai. Jab ki app ko “On-Page SEO Se Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare” use karna chahiye tha.
Use Target Keyword : Post Title me humesa targeting keywords ka hi use kare. Matlab jis bhi tropic ke upper post likh rahe hai. Us ke liye aap ko ek yesa keyword choose karna hai. Jo aap ke post ke liye fit ho.
2. Post Permalink Structure :
Post Title ke baad dusri sab se most important chiz hoti hai. App ki puri site ka Permalink Structure. Post Permalink ko Post URL bhi kahte hai. Kyu ki Permalink post par jane ka URL hota hai. Ish se bhi hume On-Page SEO ke hisab se hi create karna chahiye. App keyword use karte time niche diye gaye steps ko jarur follow kare.
Choose Short Permalink : Jis tarah se hum apne Post Title ko seo friendly banate hai. Usi tarah se hume apne Post URL ko bhi seo friendly banana hoga. Aur On-Page SEO rules ke hisab se. Aap ka post ka url (permalink) jitna ho shake Short hona chahiye. Kyu ki long post url ko search engine pasand nahi karta hai. Aur jayada long post url search engine me show bhi nahi hota hai.
Insert Main Keyword In Permalink : Post Permalink ko short banana ke saath saath. Hume apne post ke main keyword ko bhi. Apne post url me add karna bahut jaruri hota hai. Jis ke karan search engine ke nazar me bhi. Humara post seo friendly ban jata hai.
Remove Extra Words : Post permalink me jitne bhi extra words hai. Unhe jarur remove kar de aur kewal keywords hi use kare. Permalink me se aap symbols, brackets, comma’s etc. ko bhi remove kar de. Ish ke saath saath stop words jaise is, are, the, in etc. ko bhi remove kar de.
3. First Paragraph Of Post :
Hum jab bhi koe post likhte hai. To post ke starting me hume post ke bare me introduction likhna hota hai. Jise likhte samay kuch bato ka dhyan rahna chahiye.
Post Introduction Length : App jab bhi koe post likhe to us ka introduction 100-150 words me jarur likhe. But ish baat ka bhi jarur dhyan de ki introduction 100 words se kam na ho. Aur na hi 150 words se jayada ho. Ek baat aur in 150 words ko ek hi paragraph me likhna jaruri hai.
Insert Keywords : Post ka pahla paragraph likhte samay. Yah jarur dhyan de ki paragraph ke first sentence me. Main keyword ka natural way me use jarur ho. Jo ki bahut hi important hota hai. Ish ke baad app ek ya do related keywords bhi use kar shakte hai. But keywords ko humesa natural way me hi insert karna hoga. Aur dekh kar yesa na lage ki ap ne ish se forcefully add kiya hai.
Ish tarah se post me first paragraph ko likhne se humara paragraph bhi seo friendly ban jata hai. Kyu ki search engine jab kisi bhi post ya pages ko index ya crawl karta hai. To sab se pahle Post Title, Phir Post Permalink aur us ke baad Post ka First Paragraph read karta hai.
4. Post Heading (H1) And Sub-heading (H2, H3 and H4) :
Hum jab bhi kisi post ka title likhte hai. To use HTML ki bhasha me H1 kaha jata hai. Ushi tarah kisi post title ke subheadings (H2, H3 aur H4) ko minor heading kaha jata hai. Yah SEO ke lihaj se bahut hi jaruri hota hai. But ish ka matlab yah nahi huwa ki aap baar baar heading aur subheading ko repeat kare. Heading aur Subheading ka use kaise kare. Yah janne ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kare.
H1 Heading : H1 ko post content me kewal ek baar hi. Post Title ke roop me use kiya jata hai. Aur blog ka her post title already H1 tag me hi rahta hai. Ish liye aap H1 tag ko dubara kahi bhi post content me use nahi kar shakte hai.
Sub-heading (H2, H3 and H4) : Kisi bhi post ko describe karte samay. Jab hum subheading H2 aur H3 ka use karte hai. To humesa kosis karna chahiye ki H2 aur H3 tag ko accha aur short banaya jaye. Kyu ki jayada words wali subheading seo ke kisi bhi kaam me nahi aati hai. Mere kahne ka matlab hai ki search engine ke liye kisi kaam ki nahi hoti hai.
Subheading ko short karne ke saath saath use attractive banana ki bhi kosis kare. Aur jitna ho shake aap apne post me questionable subheading ka use kare. Kyu ki ish tarah ki subheading bounce rate ko bhi improve karta hai. Aur readers ko bhi ish tarah ke subheading bahut pasand aate hai. Ek aur jaruri baat without need ke kisi bhi heading ka use na kare. Warna aap ka content negative seo ke dayare me aa jayega. Jis ke karan aap ke blog ko organic traffic ka loss ho shakta hai.
Use LSI Keywords In Subheadings : Agar aap apne post me heading ka use kar rahe hai. To use short aur questionable banana ke saath saath LSI keywords ka use karna bhi best hota hai. Kyu ki ish se keyword stuffing hone ke chance kam ho jate hai. Aur post bhi readers ke hisab se natural ban jati hai. Agar aap ko kisi bhi post me LSI keywords nahi milte hai. To us case me aap long tail keywords ko variation ke saath use kar shakte hai.
Don’t Do This :
- Ek se jayada H1 tag ka use na kare. App ke post ka title already H1 tag me hi hota hai.
- Same usi tarah se H2 aur H3 tag ko repeat na kare.
5. Images optimization :
Aaj kal ke log padhne se jayada dekhna pasand karte hai. Ish liye Search engines bhi media ka use karne wali sites ki. Ranking ko improve karna start kar diya hai. Ish liye aap apne post me kam se kam 1 image to jarur add kare. But image use karne se pahle use rename jarur kar de. Kyu ki image bhi post ko seo friendly banana me ek major role pay karta hai.
Rename Post Images : App jab bhi apne post me koe images upload kare. To us se pahle us image ko rename kar le. Aur apne main keyword ko bhi jarur add kar de.
Image Alt Tag : Image ko rename karne ke baad. Image me Alt Tag jarur add kare. Jis se ki aap ko search engine me better result mile.
Aap jab bhi koe image apne post me add kare. To aap ka kosis yahi hona chahiye ki. Aap ke image ka size kam se kam ho. Taki aap ka post loading hone me jayada time na le. Aur ek baat yaad rahe post me kewal jaruri images hi use kare. Aur wo images kisi dusre ki copy na ho.
6. Keyword Density :
Aaj kal Keyword Density bhi koe most important factor nahi rah gaya hai. Kyu ki sab se jayada chiz matter karti hai. App ke content ki quality. But phir bhi agar aap bahut hi jayada targeted keywords ke liye post likh rahe hai. To aap ke liye accha hoga ki. Aap main keyword aur us se milte julte words ko mila kar. Keyword Density 1-2% tak rakhe. Ish se kam ya jayada hone par. Apne post se kuch keywords ko add or remove kar de.
Agar aap ka keyword density low rahegi. To aap ka main keyword search engine me acche se rank prapt nahi kar payega. Jis ke karan aap ko low traffic ka samna karna padhega.
7. Internal Linking :
Internal Linking ek bahut hi jayada important factor hai. Ish ka sab se accha example Wikipedia hai. Waha aap ne dekha hoga ki un ke sabhi ke sabhi article me bahut jayada internal linking hai. Ish liye aap ko bhi apne post me internal linking jarur karni chahiye. Yesa karne se link juice pass hoti hai. Jo humare content ke liye bahut jaruri hota hai.
Internal Linking bhi hum log do tarah se kar shakte hai. To chaliye dono ko one by one jaan lete hai.
Related Linking : Ish tarah ka internal linking kisi bhi blog ke seo ke liye bahut hi important hota hai. Kyu ki ish tarah ke internal linking karne se blog ka bounce rate reduce hota hai. Jo ki her ek blogger chahta hai. Agar aap ke blog ka bounce rate 50% se jayada hai. To aap ko use improve karne ki jarurat hai.
Anchor Text Internal Linking : Ish tarah ka linking keywords ke aadhar par kiya jata hai. Hum jab bhi koe new post likhte hai. To old post ki linking karne ke liye kuch related keywords ka use karte hai. Taki apne new post me old post ka link add kar shake.
Ek important baat jarur yaad rakhe. 1000 words ke post me kewal 3 ya 4 times hi related old post ka link add kare. Kyu ki ish se jayada linking karne ki wajah se. Aap ke post par negative seo ka impact hota hai. Aur agar baat kare Anchor text ya keyword linking ki. To aap natural way me jitni baar chahe. Untni baar ish tarah ka linking kar shakte hai.
8. External Linking :
On-Page SEO ke liye External Links ko. Apne blog post me add karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki aap ke dwara di gae guide ya tips se user ka trust badhta hai. But external linking karte time ek baat ka jarur dhyan rakhe ki. App ke dwara di gae external linking ka PA/DA, Alexa Rank aur Search Engine visibility acchi ho. Us ke saath saath spam score bhi zero ho.
External Linking karte time ek aur baat ka dhyan jarur de. Jab bhi apne post me external linking kare. To dofollow aur open links new window kar ke hi add kare. Aur humesa content se related hi external links add kare. Bina matlab ke koe bhi external links add na kare.
9. Last Paragraph :
Last Paragraph me bhi aap ko 100-150 words ka use karna chahiye. Aur last paragraph me natural tarike se long tail keywords ka bhi use karna chahiye. But keywords insert karte time yah jarur dhyan de ki. Koe bhi long tail keywords puri post me repeat na ho. Mere kahne ka matlab hai ki chahe post ka first paragraph ya last. Humesa keywords variation me use kare.
10. Fast Loading Website :
Google search engine humare blog ki loading speed bhi record karta hai. Aur agar aap ki site fast loading hai. To google search robot aap ki site ko jaldi index karega. But agar aap ki site ki loading speed kam hai. To google aap ki site ko ignore kar ke kahi aur chala jayega. Ish liye jaha tak ho shake aap apne site ko fast loading website banaye.
Fast Loading Website banana ke liye. Aap apni site par fast loading theme ya template aur high definition images ko compress kar shakte hai. Us ke saath saath app apne site ke home page par kam se kam content show kare. Yaad rahe jo site jitni jaldi open hoti hai. Visitors bhi usi site par jana pasand karte hai.
11. Post Content Quality :
Sab se jaruri aur most important techniques post ki content quality hoti hai. Matlab aap jo kuch bhi likh kar share kar rahe hai. Wo information kya aur kaisi hai. Mere khne ka matlab yah hai ki. Agar koe content internet par pahle se bhi bahut jayada matra me mawajud hai. Aur aap bhi usi content ke upper post likh rahe hai. To use se high traffic milne ke change bahut kam ho jate hai. Kyu ki jo log pahle se hi use padh liya hai. Use phir se padhna nahi chahege. Aur search engines bhi ish tarah ke post par jayada focus nahi karta hai.
Ish liye yesa koe tropic choose kare. Jo internet par pahle se bahut kam ho ya nahi ke baraber ho. To google aap ke post ko seconds me index karega. Aur aap ke readers ko bhi aap ke new post ka intazar rahega.
12. Word Count Per Post :
Aaj kal dekha ja raha hai ki. Jis post ka length jitna jayda hai. Wahi Google ke first page par rank kar raha hai. Ish ka sab se accha Example phir se Wikipedia hi hai. App ne jarur mind kiya hoga ki Wikipedia par jinte bhi articles hai. Un ka length bahut jayada hai. Matlab word count per post bahut jayada hai. Ish liye un ki ranking bhi maximum no. 1 par hoti hai.
So mai bhi aap ko yahi kahuga ki. App bhi apne post ko minimum 1000 words me to jarur likhe. Agar koi short post bhi likh rahe hai. To use kam se kam 700 words me likhne ki jarur kosis kare. Kyu ki ish se kam words me post likhne par search engine se traffic pana bahut muskil ho jata hai. Mere kahne ka matlab hai ki jitna long content hoga. Aap ki ranking bhi utni acchi hogi. But ish ka matlab yah nahi hai ki. Long post likhne ke chakar me app kuch bhi likh de.
Final Word :
Upper bataye huwe sare points On-Page SEO ke liye bahut hi jaruri hote hai. Agar aap ish se acche se follow karte hai. To ye sare points aap ke blogging career me bahut helpful sabit hoge. Aur mera dawa hai ki ek na ek din aap blogging me jarur safal hoge.
On-Page SEO ke alawa Off-Page SEO bhi bahut jaruri hota hai. Jis ke bare me hum log next post me baat karege. Asha karta hu dosto ish post me aap ko bahut kuch janne ko mila hoga. Aur ab aap ko pata chal gaya hoga. On-Page SEO kaise kare or SEO Friendly Post kaise likhe.
Agar aap On-Page SEO se related koe suggestion dena chahte hai. Ya phir kuch sawaal puchana chahte hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Post ko social media par share karna na bhule. Thank You !
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
arif says
mera blog cheq krke btaye isme kya kya kmi hai
Mangal Gupta says
Bro abhi aap ko apne blog ko aur acche se customize karne ki jarurat hai.
Tapan says
Sir blogger post ko google search engine par search karne par jo “translate this page” aata hai usse disable kaise karte hai
Mangal Gupta says
Bro app ye post padhe – Google Search Result से Translate This Page को कैसे Remove करे?
sultan singh says
bahut hi useful information share kari hai apne is post me thanks