Hello friends aaj hum log janege ki Bounce Rate Kya Hai Aur Ise Hum Kam Kaise Kare. Jinke pass koe blog ya website hai. Un ke liye ye article bahut hi kaam ki hai. SEO ke lihaj se bhi ye ek bahut hi important factor hai. Aap ke pass koe blog ya website hai. To aap ne bounce rate ka naam to suna hi hoga. Agar yaad nahi aa raha hai to mai aap ko yaad dila de raha hu. Jab aap apne blog ya website ka google analytic me traffic ya ranking check karte hai. To waha aap ne bounce rate bhi jarur dekha hoga. Ya phir Alexa pe apne site ki ranking check karte samay dekha hoga. So aaj hum log ish hi ke bare me bate karege ki. Bounce Rate Kya Hai Aur Ise Hum Kam Kaise Kare.
Kisi bhi website ka bounce rate jayada hona acchi baat nahi hai. Bounce Rate 35% ke ander hai to accha mana jata hai. But agar aap ka bounce rate 45% to 50% ke upper hai to aap ko ise kam karne me lag jana chahiye. But bounce rate ko kam karne se pahle ise hum aur acche se samajh lete hai.
Bounce Rate Kya Hota Hai?
Bounce Rate kisi bhi ek website ke upper un visitors ki ek % (percentage) hoti hai. Jo us website ka kisi bhi ek page ko dekhne ke baad leave kar jate hai. Mablab agar koe visitor aap ke website pe aata hai. Aur wo aap ke site ka kisi bhi ek page ko dekhne ke baad kahi aur chala jata hai.Ish ke hi aadhar pe kisi bhi site ka bounce rate ki percentage show ki jati hai.
Ek example ke duwara aap ko samajhne ki kosis karta hu. Maan lijiye agar aap ke website ka bounce rate 50% hai. To ish ka matlab ye huwa ki aap ki site ko jitney logo ne bhi visite kiya. Us me se 50% logo ne kewal aap ke 1 page ko hi open karke kahi aur chale gaye. Asha karta hu ki ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki. Bounce rate jitna kam ho untna hi accha hai.
Apne Blog Ka Bounce Rate Kaise Pata Kare?
Google Analytics google ki ek yesi free service hai. Jis ke duwara hum aasani se apne site ka bounce rate pata kar shakte hai.Google Analytics ke dwara hum Bounce Rate ke saath saath. Ye bhi jaan shakte hai ki humare site pe kitne visitors aaye, kitne page views huwe. Aur wo visitors kis country se aaye or kaun kaun se page views kiye.
App chahe to alexa.com ke website se bhi. Apne site ka bounce rate check kar shakte hai. Yaha pe aap ko last 3 monts ki ranking report show ki jati hai. Asha karta hu ki ab aap apni site ka bounce rate aasani se pata kar shakte hai.
Bounce Rate High Kyu Ho Jata Hai?
1. Website Design :
App ke site ka acche se design nahi hona. Bhi bounce rate ko high karne ka ek karan hai. Kyu ki jab koe visitors aap ke site pe aate hai. To wo kuch bhi read karne se pahle aap ki website ke design ko dehkte hai. Agar unko aap ke site ka design accha nahi laga to wo kasi aur chale jate hai.
2. Website Loading Time :
Visitors kabhi bhi show loading website ko pasand nahi karte hai. Jab koe visitors aap ke site pe koe bhi post ko padhne ke liye open kare. Aur wo post open hone me jayda time lega. To koe bhi visitors jayda time tak wait nahi karega.
3. Low Quality Content :
Low quality content ka matlab ye huwa ki aap ke visitors ko. Un ke jarurat ke hisab se puri information nahi mil pana. Jis ke karan wo kahi aur chale jate hai. Aur aap ke site ka bouce rate bhi increase ho jata hai.
4. Single Page Site :
Ish ka matlab ye huwa ki. App apne ek post me dusre post ka link Add nahi karte hai. Jis ke karan visitors aap ke site ke kewal usi post ko read kar ke quit kar jate hai.
5. Share Incorrect Information :
Apne site pe wrong information share karna bhi. Bounce rate ko increase karne ka bahut bara karan hai. Agar aap apni site pe kisi aur ka contant copy paste karge. To aap ka bounce rate increase hona lajmi hai.
Bounce Rate Acchi Hai Ya Buri?
Kisi bhi website ke liye Bounce Rate ka jayda hona really acchi baat nahi hai. App ke site ka bounce rate jitna kam hoga. App aur aap ke website ke liye unta hi accha hai.
Bounce Rate Kinti Honi Chahiye?
App ke site ka Bounce Rate 25% to 35% ke beech me hai to ye accha baat hai. Agar aap ka bounce rate 25% se bhi kam hai. To samajh lijiye ki aap bahut lucky hai. Kyu ki bounce rate 25% ke ander hai to ish ka matlab ye huwa ki visitors aap ke site ko bahut jayada pasand kar rahe hai.
Agar aap ke site ka bounce rate 50% ke upper hai. To ye aap ke website ke liye accha sanket nahi hai. App jitna jaldi ho shake ish se kam karne me lag laeye. Kyu ki bounce rate jayada hone ka matlab hai ki. Visitors kisi karan se aap ke site ko pasand nahi kar rahe hai.
Bounce Rate Hum Kam Kaise Kare – Jane 11 Simple Tips
Agar aap ke site ka bounce rate bahut jayada hai. To use kam karna bahut hi jaruri hai. Bounce Rate ko kam karne ke liye. Aap niche diye gaye steps ko follow kar shakte hai.
1. Good Web Design :
App apne website ko simple aur acche se degine kare. Kyu ki agar aap ka design accha nahi hoga. To jaldi koe bhi visitors aap ke site pe aana pasand nahi karega. Apne website ko bahut jayda bright aur colourful mat banaeye.
Apne website ko mobile friendly jarur rakhe. Kyu ki aaj kal desktop se jayda mobile traffic hai. Aur agar aap ka site website responsive nahi hoga. To wo her ek device me acche se nahi khulega.
2. Reduce Page Loading Time :
Kisi bhi website ke liye Page Loading Time ek bahut hi bara important factor hai. SEO ke lihaj se bhi humare website ka loading time kam se kam hona chahiye. App ki site jitni jaldi open hogi, visitors unta hi aap ki site ko pasand karege.
3. Attract Right Visitors :
App hamesa apni site pe targeted visitors ko lane ki kosis kare. Targeted visitors ka matlab huwa apni site se related visitors. Ab aap ki sochiye agar aap ka website Science tropic ke upper hai. Aur jis visitors ko game pasand hai. To wo app ki site kyu open karega. Ish liye aap apne site pe right visitors ko hi target kare.
4. Effective Post Title :
Apne post ka title hamesa aysa rahke, jise dekhte hi logo ko ye pata chal jaye ki ish post me kaya hai. Aur us post ko padhna chahe.Agar aap apne post ka title accha rakhege to visitors jarur aayege.
5. Provide Quality Content :
App hamesa apne site pe quality content wale post likhe. Kyu ki quality content ek yesa chiz hai. Jis ke duwara aap apne site ko long time ke liye successfull bana shakte hai. Quality Content means aap ke site ke her ek page me unique contant ho. Acche se heading aur subheading ka use ho. App ka content error free ho aur acche se images aur videos ka use ho.
6. Use Powerful Sidebar Widgets :
App apne website ke sidebar me widget ka use jarur kare. Jaise popular post, recent post, related post, social button etc. Kyu ki jab aap apne site pe sidbar ka use karege. To visitors ko apne man pasand ki post ko search karne me aasani hogi. Aur wo aap ki site pe ek post ke baad dusra post bhi padhege.
7. Write Long Length Articles :
App jab bhi koe post likhe to apne post me us post se related puri information likhe. Taki visitors ko puri jankari mil shake. App post ko kam se kam 1000 se 1500 words me likhe. Taki visitors aap ke site pe jayada der tak ruk shake. Post ke bara likhne ka matlab ye nahi hai. Ki aap apne post ko bara karne ke chaker me kuch bhi likh de. App apni tropic se related hi puri information likhe.
8. Use Internal Links :
App jab bhi koe post likhe to us post me apne dusre post ka link jarur add kare. Kyu ki jab ek post me kisi dusre post ka link add rahega. To visitors ko bhi aap ka dusra post padhne me aasani hoga. Aur aap ka bounce rate bhi kam hone lagega.
9. Use Attracting Images :
Apne apne post me hamesa good looking image ka use kare. Taki visitors aap ke image ko dekhte hi aap ke site pe aa shake. Attracting Images bhi aap ke site ki bounce rate kam karne me bahut helpful hoti hai.
10. Number Of Posts :
Bounce Rate jayda hone ka ek bahut bara reason hai. App ke site pe post ka kam hona. Kyu ki jab koe visitors aap ki site pe aata hai. To aap ki site pe kam post hone ke karan us ke jarurt ki sari informaion nahi mil pati hai. Jis ke karan wo kahi aur chala jata hai. Ish liye mai yahi kahuga ki aap daily kam se kam 1 post jarur publish kare. Taki visitors ko bhi kuch mil shake aur aap ka bounce rate bhi kam ho shake.
11. Commenting :
App kisi bhi tropic ke upper post kyu n likhe. But aap humesa apne reader se ye jarur puche, ki unhe ye post kaisa laga comment kar ke jarur jabab de. Aur agar ko readers aap ke koe sawwal puche to us ka jabab bhi jarur de.
Asha karta hu dosto aap ko ye post jarur pasand aaya hoga. Finally mai aap ke yahi kahuga ki aap humesa original aur unique content likhe. Ish se aap ke website ki bounce rate bhi kam hogi. Aur visitors aap ki site pe apne aap aane lagege. Aakhri baat to mai kahna bhul gaya ki. Ish post ko jarur share kare aur apne dosto se bhi kahe.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Dilip Mothariya says
Aapne Achi Post Likhi Hai
paresh barai says
मेरे website पर हर महीने 100 $ income नहीं हो पा रही है क्या आप मेरी website पर visit कर के bounce rate कम करने का कोई idea दे सकते हैं। आप के जवाब का इंतज़ार रहेगा। फिलहाल में गूगल एडसैन्स से 70 से 75 $ महिना कमा रहा हूँ।
Mangal Gupta says
App apne post me Internal Links ka use kare. Matlab apne her ek post me kisi dusre post ka link add kare.
Prashant Kumar says
Dhyanwad aapka jo aapne itna achha article diya
me aapke har article ko read karta hu
aise hi aap article likhte rahe
Read More About Bounce Rate Kya hai In Hindi || Bounce Rate Kam Kaise Kare