Blog ko first page par kaise laye : Google me kisi keyword ko search karne par. Aap ne bahut sari blog ya website ko top par aate dekha hoga. Google ranking me top par aane ke liye. Hum log bahut tarah ke tariko ko apnate hai. Lakin phir bhi hume accha result nahi milta hai. App ko bata du ki Google Ranking Process ko Algorithm kaha jata hai. Jis ki madad se google kisi bhi blog ya website ke page ko first page par lata hai. Ish liye agar aap bhi Google search me top par aana chahte hai. To yah post Naye Algorithm Ke Anusar Google Search Me Top Par Kaise Aaye dhyan se padhe.
Haal hi me google ne apne Algorithm process me kuch changes kiye hai. Jis ke tahat google un hi blog ya website ko top par show karega. Jise sab se jayada padha ya search kiya jata hai. Matlab aap ki post ko jitne logo ne padha hoga ya share kiya hoga. Wah utni hi ranking me upper jayega.
Ish ke alawa bhi bahut sari bato ka dhyan rakhana hoga. Taki aap ka content ranking me top par ja shake. Jo ki mai aap ko ish article me batane wala hu.
Google Me Top Ranking Kaise Milta Hai?
Apne blog ya website ko google ke search me first page par lane ke liye. App ko google ke naye Algorithm ko acche se samajhna aur follow karna padega. Chaliye one by one kar ke jaan lete hai.
1. Clicks
Jaisa ki maine aap ko pahle hi bataya ki. Google unhi content ko first rank dega. Jise sab se jayada search kiya gaya hoga. Thik usi tarah aap ke content ya website par aaye click ke aadhar par hi. Google aap ki ranking taye karega. Matlab aap ke content ko jitney jayada click milege. App google ranking me utne hi top par hoge. Wahi jis kisi blog ya website par kam click aayege. Wo google page ke dusre aur tisre page par pahuch jati hai.
2. Bouncing Rate
Google ke naye Algorithm ke anusar aap ki bouncing rate jayada hone par bhi. App ki ranking me kami aayegi. Kyu ki google ke anusar content se jayada bounce rate hone ka matlab. Yah hai ki aap ke dwara di gae jankari se users khush nahi hai. Ya phir aap ka content padhne layak nahi hai. Ish liye aap ki site ko first page par aane ka chance kam ho jata hai. Padhe Bounce Rate Kya Hai Aur Ise Kam Kaise Kare.
3. Average Time
Koe bhi users aap ke content par kitne time tak ruka hai. Google ke liye yah bahut hi mayne rakhta hai. Google ke anusar koe bhi user aap ke content par click karne ke baad. Kitne time tak ruka raha. Ish ke aadhar par hi google aap ki ranking taye karega.
4. Traffic Source
Google me users aap ke content par kiss source ke jariye pahuchta hai. Yah bhi ranking ke liye mayane rakhta hai. Agar users aap ke content par social media, direct ya google search ke jariye pahuchta hai. To google aap ki ranking ko top par le jayega. Wahi agar aap ka traffic source kam hai. To aap ki website google search me sab se piche pahuch shakta hai.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Naye Algorithm Ke Anusar Google Search Me Top Par Kaise Aaye”. Agar phir bhi aap ko kuch puchna hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Ummid karta hu aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Post pasand aaya hai to social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar lijiye. Aaj ke liye dosto bus inta hi. Chalte chalet bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: