Hello dosto aaj hum log janege ki WordPress.com Vs WordPress.org Me Kaun Hai Best Platform. Kisi bhi new blogger ke dimag me yah question jarur aata hoga ki. WordPress blog ko wo kis platform par banaye. Jaisa ki hum sab jante hai ki WordPress.com Aur WordPress.org dono hi blogging platform hai. But in dono me bahut hi bara difference hai. Aur ish difference ko hum ish post me acche se samajhne ki kosis karege.
Agar mai simple way me kahu ki. Aap agar blog personal use ke liye bana rahe hai. To aap ke liye Blogger, WordPress.com, Tumbler jaise option sab se best hai. But agar aap blog online business ke liye bana rahe hai. To aap ke liye WordPress.org (self-hosted) option hi sab se best rahega. To chaliye ab hum log jaan lete hai ki. WordPress.com Vs WordPress.org Me Kaun Hai Best Platform.
WordPress Kya Hai ?
WordPress ek open source software hai. Jise May 27, 2003 me released kiya gaya tha. Aaj ke date me yah itna jayada popular ho gaya hai ki. World ki lagbhag 27% websites wordpress platform par ban gayi hai. Unlimited features hone ke karan hi WordPress sab se jayada popular blogging platform ban gaya hai.
WordPress.com Kya hai ?
WordPress.com ek free blogging platform hai. Jaha par aap apne liye wordpress blog free me bana shakte hai. But free users ke liye ish me kuch limitations hai. Lekin aap chaho to ish limitations ko thora paisa karch kar ke kam kar shakte hai.
WordPress.org Kya hai ?
WordPress.org ek yesi website hai. Jo hume apna self hosted WordPress blog banana ke liye. Open source CMS software provide karti hai. Jise hosting me install karna hota hai.
Yaha mai aap ko ek baat clear kar du ki WordPress.org koe yesi website nahi hai. Jis par aap apna blog bana shakte hai. But WordPress.com ek yesi website hai. Jis par aap apna blog create kar shakte hai.
WordPress.com Aur WordPress.org Me Kya Difference (Fayada or Nuksan) hai ?
Agar hum log in dono ke bich difference ki baat kare. To in dono me bahut kuch fayade aur nuksan milege. Jise blogging start karne se pahle jaan lena bahut hi jaruri hota hai.
WordPress.com Ke Fayade
- WordPress.com ka sab se bara fayada yah hai ki yah ek free blogging tool hai. Yaha aap free me blog to bana shakte hai. But professional blog ke liye yah thik nahi hai.
- Personal blogging ke liye WordPress.com ek accha option hai.
- Yah self hosted hota hai. Mere kahne ka matlab hai ki ish ke liye aap ko koe hosting kharidane ki jarurat nahi hoti hai.
- Ish me Blog ko manage karna bahut hi aasan hai. App ish se bahut hi aasani se customize kar shakte hai.
- Security ke lihaj se ish platform par bane blog ki security kafi acchi hoti hai. Ish ke liye aap ko koe technical work karne ki koe jarurat nahi hai.
- Ish me aap ko apne content ka backup lene ka bhi koe tension nahi hai. Kyu ki yah aap ke blog ke content ka automatic backup leta rahta hai.
WordPress.com Ke Nuksan
- WordPress.com par bane huwe blog par aap ka full control nahi hota hai. Mere kahne ka matlab hai ki blogspot ki hi tarah aap ka bhi blog without notice ke delete kiya ja shakta hai.
- Ish platform par banaye gaye free blog ke upper. App apne man pasand ka theme install nahi kar shakte hai. Agar aap ko apne man pasand ka theme install karna hai. To aap ko ish ke liye kuch paise karch karne hoge. Tab ja kar aap theme upload option enable karwa payege.
- Yaha aap ko sirf kuch hi plugin available milege. Agar aap ko plugin install ya upload karna hai. To us ke liye bhi aap ko paise karch karne hoge.
- Yaha aap ko sirf 3gb tak ka hi free space milega. Agar aap ka data 3gb se jayada ho jata hai. To aap ko apna blogging continue rakhne ke liye plan buy karna hoga. Aur agar aap hosting space buy nahi karte hai. To aap apna post bhi publish nahi kar shakte hai.
- Ish platform ke upper free blog banana par. Aap ke blog url me default sub-domain bhi laga rahega. Jaise www.myblog.wordpress.com aur agar aap chahte hai ki aap ke blog ka address www.myblog.com ho jaye. To ish ke liye bhi aap ko paise karch karne hoge.
- Google analytics jaisa helpfull products hum free version me use nahi kar shakte hai.
- Free wordpress blog bahut kam log hi use karte hai. Kyu ki professional blogging ke liye accha nahi hota hai.
- Ish ke plans bahut hi Expensive hote hai.
WordPress.org Ke Fayade
- Professional blog ke liye wordpress.org ek bahut hi accha platform hai.
- WordPress.org Software ko hosting par install kar ke banaye gaye blog ke kewal aap hi malik hote hai. Ish ke data ko koe bhi delete nahi kar shakta hai. Kyu ki pura ka pura control aap ke pass hota hai.
- Yaha aap jitne chahe unte theme upload ya change kar shakte hai.
- Ish par aap ko sirf domain ke liye paise karch karne hote hai. Domain ko blog par lagane ke liye koe paisa nahi lagta hai.
- Yaha hum log Google analytics products ko use kar ke. Apni website ki puri detail ko dekh shakte hai.
- Ish tarah ke blog ka karch WordPress.com se kam hota hai.
- Aaj ke date me self hosted wordpress blog bahut hi jayada use kiye jate hai. Kyu ki yah professional hone ke saath saath sasta bhi hota hai.
WordPress.org Ke Nuksan
- Unlimited features hone ke karan ish me bahut sari setting karni hoti hai. Jo ki ek beginners ke liye yah aasan nahi hota hai.
- Ish me account banana ke liye paid hosting ki jarurat hoti hai. Ish liye aap ko her mahine hosting provider ko iski keemat chukani hoti hai. Kyu ki bina hosting ke app WordPress.org ko use hi nahi kar shakte hai.
- App ko ek domain name bhi purchase karna hota hai. Aur us domain ke liye bhi aap ko her saal paise karch karne hote hai.
- Hosting purchase karne ke baad blog ki security ke liye. Koe bhi technical work aap ko kudh hi karna hoga. Kyu ki agar aap ko WordPress security ke bare me puri knowledge nahi hai to aap ko problem aayegi.
Asha karta hu dosto ab aap ko WordPress.com Vs WordPress.org Me Kaun Hai Best Platform ka acche se pata chal gaya hoga. Aur ab aap aasani se decide kar shakte hai ki. App ke liye kaun sa blogging platform sahi rahega.
Final Word :
App agar meri baat kare to mai yahi kahuga ki. Agar aap blogging sikhne ke liye starting karna chahte hai. Ya phir aap sirf personal blogging karna chahte hai. To mai aap ko wordpress.com recommend karuga. Kyu ki yaha aap free me blogging kar shakte hai.
- BlogSpot Vs WordPress Kaun Hai Best Platform Aur Kyu
- Apne WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare – Full Guide
But agar aap online paisa kamana chahte hai ya phir blogging me apna career banana chahte hai. To aap ko wordpress.org par apna blog banana chahiye. Kyu ki ish me unlimted features hai. Jo aap ko aap ke blog ke upper full control deta hai.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: