Oppo F5 Vs Redmi Y1 Comparison in Hindi : Oppo F5 aur Xiaomi Redmi Y1 dono ka hi selfie expert smartphone. India me Nov 2017 ke first week me market me launch huwe. Dono hi selfie expert smartphones hai. Waise Oppo to camera phones ke liye hi jana jata hai. But Xiaomi ne pahli baar Camera Phone launch kiya hai. Aur ish phone me Redmi 4 wala processer aur finger print sensor bhi diya hai. So aaj hum log Oppo F5 aur Redmi Y1 ke specification ke saath saath. In dono phones ka price aur unme comparison bhi janege.
Her mahine koe na koe smart phones launch ho hi jata hai. Aur yese me user ko samajh me nahi aata hai ki. Wo kaun sa phone buy kare aur kaun nahi. But agar aap selfie wala smartphone buy karna chahte hai. To aap ke bhi dimag me sab se pahla naam Oppo aur Vivo ka hi aata hoga. Lakin ish baar Xiaomi ne Oppo F5 ke Opposite Camera wala Phone launch kar ke. Sab ko thora confuse kar diya hai. Kyu ki Xiaomi apne perfect hardware aur software ki combination ke karan jana jata hai.
Oppo F5 Aur Redmi Y1 Ke Price :
Xiaomi Redmi Y1 ne ish smart phone ko do version me launch kiya hai. Jis me 3GB Ram aur 32GB Storage ki kimat 8,999 rupye. 4GB Ram aur 64GB Storage ki kimat 10,999 rupye rakhi hai. Agar ish smart phone ki sab se khash feature ki baat kare. To yah 16 Mega pixel ke front camera se laish hai. Yahi ish ki sab se bari khasiyat hai.
Oppo F5 ne bhi apne smartphone ko do version me launch kiya hai. Jis me 4GB Ram aur 32GB Storage ki kimat 19,990 rupye. Aur 6GB Ram aur 64GB Storage ki kimat 24,990 rupye rakhi hai. But 6GB wala model ka sell december me suru hoga. Wahi 4GB wala smartphone 9 Nov se milne lagega.
Oppo F5 Vs Redmi Y1 Ka Specification In India
Price ke baad chaliye ab hum log dono smartphones ke Specification ko jaan lete hai. Taki in dono smartphones me kya kya diya gaya hai pata chal jaye.
Specification | Redmi Y1 | Oppo F5 |
Battery Capacity | 3080 mAh | 3200 mAh |
Removable Battery | No | No |
Colours | Gold, Dark Grey | Black, Gold, Red |
Screen size (inches) | 5.5 | 6 |
Resolution | 720×1280 pixels | 1080×2160 pixels |
Processor | 1.4GHz octa-core | octa-core |
Processor make | Qualcomm Snapdragon 435 | MediaTek MT6763T |
RAM | 3GB & 4GB | 4GB & 6GB |
Internal storage | 32GB & 64GB | 32GB & 64GB |
Expandable storage | 128GB | 256GB |
Rear camera | 13-megapixel | 16-megapixel |
Front camera | 16-megapixel | 20-megapixel |
Operating System | Android 7.0 | Android 7.1 |
Skin | MIUI 9 | ColorOS 3.2 |
SIM Type | Nano-SIM | Nano-SIM |
GSM/CDMA | GSM | GSM |
3G | Yes | Yes |
4G/LTE | Yes | Yes |
To dono hi smartphones ka specification ab aap ko pata chal gaya hai. To chaliye hum log dono device ko compare kar ke dekhte hai.
Oppo F5 Aur Redmi Y1 Smartphones Ka Comparison in Hindi
Dono smartphones ke price dekhne ke baad. To ek baat clear ho gayi ki. Dono phones ek dusre ke Competitor kahi se bhi nahi lagte hai. Aur rahi Specification ki baat to ish me bhi kafi difference hai. Kyu ki dono phones ke bich me price ka bahut jayada difference hai.
Agar aap apne low Budget ke hisab se Selfie Expert Phones buy karna chahte hai. To aap ke Xiaomi Redmi Y1 sab se best hai. Kyu ki Xiaomi ne ish phone me camera to accha diya hi hai. Aur apne hardware aue software ke saath koe Compromise bhi nahi kiya hai.
Wahi rahi oppo ki baat to wo humesa apne phone ki specification se jayada paise leta hai. Jaha tak mujhe laga Oppo F5 me Camera aur Display ke aalawa. Baki sab kuch Average hi hai. Aur price to aap dekh hi rahe hai. Mujhe kuch kahne ki jarurat to hai hi nahi.
To dosto aap ko “Oppo F5 Vs Redmi Y1 Selfie Expert Phones Comparison” kaisa laga. App comment kar ke jarur bataye.
App ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus inta hi. Chalte Chalte bus yahi kauga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: