Hello dosto aaj hum log janege ki Root Kya Hai Aur Android Mobile Ko Root Kaise Kare. Aur ish ke saath saath yah bhi janege ki Phone Root Karne Ke Kya Fayde Aur Nuksan Hote Hai. Aaj ke date me lagbhag her koe smartpone ka use karta hai. But root kya hota hai. Yah bahut kam log hi jante hoge. Actually apne smartphone ko bahut kam log hi root karte hoge. Kyu ki phone ko root karne ki jarurat sab ko nahi padhati hai. Apne smartphone ko sirf wahi log root karte hai. Jinhe apne phone ka kudh boss banna hota hai. Jayadatar technical log ki apne apne phone ko root karte hai. Taki wo apne hisab se phone ko customize kar shake.
Actually apne android phone ko root karne se kuch fayde hai. To kuch nuksan bhi hote hai. Jo ki ish post me hum log acche se janege. Smartphone ko root karne ka 2 tarika hai. Pahla without cpmputer aur dusra with computer. But ish post me hum log dono tariko ke bare me janege. To chaliye suru karte hai. Aur sab se pahle jante hai. Android Root Kya Hota Hai.
Android Root Kya Hai – What Is Android Root In Hindi?
Root ka aasan sabdo me matlab hota hai. Apne phone ki settings ke virudh ja kar kuch yesa chiz karna. Jise Android Device allow nahi karta hai. Kyu ki jab bhi koe company ek software banati hai. To wo us me kabut sare limitations bhi add kar deti hai. Taki us ka use galat use na ho shake.
Root ka matlab hi jad (जड़) hota hai. Ish liye jab aap apne phone ko root kar dete hai. To aap apne phone ke jad (जड़) tak pachu jate hai. Phone ko root karne ke baad. App us ke Interface , Locking System , Pre-Installed App aur bhi bahut kuch. Apne hisab se change kar shakte hai.
Actually hum log jab bhi koe new mobile purchase karte hai. To us me stock rom install rahta hai. But jab hum log kisi phone ko root kar dete hai. To us me custom rom install karna padhta hai.
Mobile Root Karne Se Kya Hota Hai?
Apne mobile ko root karne se pahle. Yah janna bahut jaruri hai ki. Mobile Root Karne Se Kya Hota Hai. Aur kya mobile root karna jaruri hai. Actually kisi bhi phone ko root kar dene se. App us phone ko ek administrator power hi hisab se use kar shakte hai. Ya aap yah bhi kah shakte hai. Ek rooted smartphone me aap wo sab kuch kar shakte hai. To aap karna chahte hai. Kyu ki root hone ke baad company dwra lagaye huwe sare limitations hat jate hai.
Playstore me aap ne jarur dekha hoga. Yese bahut sare application hai. Jo ki kewal rooted mobile me hi use hote hai. Ya phir agar aap apne phone ke saath koe experiment karna chahte hai. To aap ko apne smartphone ko root karna jaruri hai.
Root Ke Fayde – Advantages of Android Rooting
Android rooting ke bare me bahut log janna chahte hai. Kyu ki ish ke bahut sare fayde hai. To chaliye hum log kuch important fayde ke bare me jaan lete hai.
1. Increase Battery Life And Performance : Agar app ka smartphone rooted hai. To aap applications ki madad se underclock kar ke. Apne battery ki life ko badha shakte hai. Aur ish ke saath hi overclock kar ke performance ko badha shakte hai. But yah dono kaam ek saath nahi hoga. App ko ish me se kisi ek process ko hi choose karna hoga. App chahe to dono ke beech balance kar ke speed aur battery ko badha shakte hai.
2. Uninstall System Apps : Aap jab bhi koe new phone purchase karte hai. To us phone ke saath jo bhi by default apps aate hai. Unhe system apps kahte hai. Jinhe aap uninstall nahi kar shakte hai. But agar aap ka phone rooted hai. To aap bahut hi aasani se system apps ko bhi uninstall kar shakte hai.
3. Run Special Apps: Playstore me yese bahut sare usefull aur special apps mojood hai. Ji ki kewal rooted mobile me hi kaam karta hai.
4. Customization : App apne smartphone ko Custom ROM ki madad se. Ek new look de shakte hai. Ish ke saath saath aap uske icons, notification bar, color, font aur bhi bahut kuch change kar payege.
5. Take Full Device Backup : Titanium Backup ke naam se ek application kai. Jis ki madad se aap apne phone ka pura backup le shakte hai. Taki mobile me koe problem aane se us ka use kar shake.
6. Change UI ( User Interface) : Root karne ka sabse bara fayda yah hai. Ki app apne phone me kuch bhi kar shakte hai. Yaha tak ki agar aap ko thora bahut Android se related Technology ka knowledge hai. To app apne phone ka UI( User Interface) Ko bhi change kar shakte hai.
Phone Root Karne Ke Nuksan – Disadvantages of Android Rooting
Jis tarah root karne ke kuch fadye hai. Usi tarah phone ko root karne ke kuch nuksan bhi hai. To chaliye phir ab hum log us nuksan ke bare me jaan lete hai.
Warranty Voids : Phone ko root karne par sab se bara loss yah hota hai. Ki aap ke smartphone ki Warranty khatam ho jati hai. Kyu ki her ek new phone 1 year ki Warranty ke saath aati hai. But aap ko tension lene ki koe jarurat nahi hai. Agar aap apne phone ko phir se unroot kar dete hai. To aap ki Warranty phir se start ho jayegi. Kyu ki service centre wale pata nahi laga pate hai. Ki aap ka phone pahle root kiya gaya tha.
Device Might Get Dead : Smartphone ko root karne par dusra sab se bara problem yah hota hai. Ki agar aap ka phone sahi tarah se root nahi hota hai. To aap ka phone Dead bhi ho shakta hai. Ish liye root karte time sabhi instruction ko acche se follow kare. Bahur bar yesa dekha gaya hai ki root karte time phone dead ho jata hai. Aur tab hume apne phone ko service centre le jana padta hai. Use thik karane ke liye.
Agar kisi publisher ka phone root karte samay dead ya kuch bhi problem aata hai. To wo apne phone ka kudh jimmedaar hoga.
Update Issue : Apne smartphone ko root karne ke baad. App kabhi bhi Android ka koi bhi latest version apne phone me update nahi kar shakte hai. Android ka koi bhi latest version update karne ke liye. App ko phir se apne phone ko unroot karna hoga.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga. Android Root Kya Hai aur Root Karne Ke Kya Fayde or Nuksan Hai. To chaliye ab hum log aage badhte hai. Aur one by one jaan lete hai ki. Phone ko root kaise kare without pc aur with pc.
Phone Ko Root Karne Se Pahle Kuch Jaruri Bate
Kuch jaruri points phone ko root karne se pahle jarur follow kare.
1. App ke smartphone ka battery kam se kam 40-50% tak charge hona chahiye.
2. Apne phone ke sabhi data ka backup jarur lele. Jaise contacts, sms, photos, viedo etc. Taki aap ka data loss na ho.
3. Root karne se pahle apne mobile se apna sim card aur SD card ko bhi nikal le.
4. Apne smartphone ke setting me ja kar. ‘Developer options’ ke ander ‘USB debugging’ ke option ko on kar de.
5. Unknown Sources se App Installation ko Allow kare. Settings >> Security >> Unknown Sources.
6. App niche diye gaye apps ko apne phone ke storage me hi install kare. Installation ke bich me ek warning message aayega. Ish liye application ko install karne ke liye. App ko ‘yes’ option ko hi choose karna hai.
Android Phone Ko Root Kaise Kare Without PC?
Android phone ko without pc root karna bahut hi aasan hota hai. Root karne ke liye bus aap ko apne phone me ek application ki jarurat hoti hai. Jis ke dwara aap apne phone ko bahut hi aasani se root kar shakte hai. To chaliye step by step suru karte hai.
Step 1 : Sab se pahle aap apne smartphone me KingRoot Apps ko download kar ke install kar lijiye.
Step 2 : KingRoot Apps install ho jane ke baad use open kijiye. Open hone ke baad Get Now ki button ke upper tap kare.
Step 3 : Get Now ke upper tap karte hi. App ke phone ka rooting process start ho jayega. Jo ki aap ko % ke roop me show hoga.
100% complete hote hi aap ka smartphone restart hoga. Aur aap ka phone rooted bhi ho jayega. Yah process bahut hi safe hai. Kyu ki ish process me aap ke mobile ka data bhi safe rahta hai. To dekha aap ne phone ko root karna kitna aasan hai.
In ke aalawa bhi android phone ko root karne ke liye. Bahut sare acche aaps hai. Jaise FramaRoot, TowelRoot, vRoot, Z4Root etc. App chahe to ish se try kar shakte hai.
Phone Ko Unroot Kaise Kare?
Agar aap apne phone ko unroot karna chahte hai. To mai aap ko bahut hi aasan tarika banana ja raha hu. Phone ko unroot karne ke liye. App KingRoot App ke General setting me jaye. Aur waha ja kar KingRoot ko uninstall kar de. Jaisa ki aap niche ki image me dekh pa rahe hai.
To dekha aap ne rooted phone ko unroot karna kitna aasan hai. Chaliye ab hum jante hai ki phone ko pc se kaise root kare.
PC Se Root Kaise Kare?
Internet par PC se smartphone ko root karne ke liye. App ko bahut sare software mil jayege. But un sab me sabse best KingoRoot software hai. Ish liye hum log bhi ish si software se apne phone ko root karna janege.
Step 1 : Sab se pahle aap apne computer me KingoRoot Software Download kar ke Install kar lijiye.
Step 2 : Ab app apne smartphone ke Setting >> Developer options me ja kar. USB debugging ke option ko on kar de. Agar aap ko setting me Developer ka options nahi mil raha hai. To aap Setting >> About Phone me ja kar. ‘Build Number’ ke upper 3 bar tap kar de. Tab karne ke baad app ke setting me Developer ka option aa jayega.
Step 3 : Software ko install kar ke. Open karte hi aap ko apne smartphone ko usb cable ke dwara connect karne ke liye bola jayega. Ish liye ab aap apne smartphone ko usb cable ke dwara computer ke saath connect kar lijiye. Aur yah dhyan rakhiye ki aap ke pc me internet connection available ho.
Step 4 : Smartphone device ke saath connect hote hi. App ke device ka driver aap ke pc par download hona suru ho jayega. Driver download hote ho Root ka option aa jayega. Apne smartphone ko root karne ke liye Root ke option ke upper click kar de.
Ish process ko complete hone me thora time lagega. Root complete hote hi Finish likh kar aa jayega. Aur aap ka smartphone finally root ho jayega.
Desclaimer : App ke phone ko root karne par koi bhi problem aata hai. To Helps In Hindi aur mai (Mangal Gupta) ka koe bhi Jimmedari nahi hoga. App jo bhi karge apne risk ke upper karege. Kyu ki mai aap ko pahle hi bata chuka hu. Agar aap her instructions ko acche se follow nahi karte hai. To aap ka phone kharab bhi ho shakta hai.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga. “Root Kya Hai Aur Android Phone Ko Root Kaise Kare”. Aur Root karne ke kya fayde aur nuksan hai. Ish liye aap bahut acche se jankari le kar hi decide kare. Ki aap ko apne phone ko root karna hai ya nahi. But phir bhi root karte samay koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad karke bahut khushi hogi.
Dosto aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aut ish si tarah ka interesting tropic janne ke liye. Humare Newsletter ko Subscribe jarur kar le. Taki aap ke email id par humare new post ka notification milta rahe. Thank you.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
pramod upadhyay says
Mera mobile micromax Ao69 version 4.4.2 hai kingroot ke kaunse se version se root karu aur root karne ke liye sim card bhi nikal na padega plz mujhe step by step bataye without pc
pramod upadhyay says
Sir, root karne ke liye usb debugging ko bhi on karna padega mai without pc se karunga
Mangal Gupta says
Nahi
Mangal Gupta says
Sabse latest version se root kare. Haa sim card nikal lijiye.
Shubham verma says
Sabse latest version kaunsa hai
Mangal Gupta says
kis chiz ka latest version
Shashi Kumar says
Nice article Bro aap ne bahut achi Information share ki hai.
Ritesh kanwal says
My mobile itel a44 android version 7.0 king root aap install nhi ho rha h koe upay btaeye please
Fisu says
Mera phone oppo a57 hai boht try kiya sab kuch thak gaya hun nii hota bhai help me